hamein dekha na kar udti nazar se | हमें देखा न कर उड़ती नज़र से

  - Bakul Dev

hamein dekha na kar udti nazar se
umeedon ke nikal aate hain par se

ab un ki raakh palkon par jamee hai
ghadi bhar khwaab chamke the sharar se

bachaane mein lagi hai khalk mujh ko
main zaayein ho raha hoon is hunar se

vo lahja-ha-e-dariya-e-sukhan mein
musalsal bante rahte hain bhanwar se

samundar hai koi aankhon mein shaayad
kinaaron par chamakte hain guhar se

tavakko hai unhen us abr se jo
dikhaai de idhar us or barase

zara imkaan kya dekha nami ka
nikal aaye shajar deewar-o-dar se

raqam dil par hua kya kya na poocho
bayaan hona hai ye qissa nazar se

sambhalte hi nahin ham se bakul ab
bache hain din yahan jo mukhtasar se

हमें देखा न कर उड़ती नज़र से
उमीदों के निकल आते हैं पर से

अब उन की राख पलकों पर जमी है
घड़ी भर ख़्वाब चमके थे शरर से

बचाने में लगी है ख़ल्क़ मुझ को
मैं ज़ाएअ' हो रहा हूँ इस हुनर से

वो लहजा-हा-ए-दरिया-ए-सुख़न में
मुसलसल बनते रहते हैं भँवर से

समुंदर है कोई आँखों में शायद
किनारों पर चमकते हैं गुहर से

तवक़्क़ो' है उन्हें उस अब्र से जो
दिखाई दे इधर उस ओर बरसे

ज़रा इम्कान क्या देखा नमी का
निकल आए शजर दीवार-ओ-दर से

रक़म दिल पर हुआ क्या क्या न पूछो
बयाँ होना है ये क़िस्सा नज़र से

सँभलते ही नहीं हम से 'बकुल' अब
बचे हैं दिन यहाँ जो मुख़्तसर से

  - Bakul Dev

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakul Dev

As you were reading Shayari by Bakul Dev

Similar Writers

our suggestion based on Bakul Dev

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari