apna bigda hua banaav liye
jee rahe hain wahi subhaav liye
shaam utri hai phir ahaate mein
jism par raushni ke ghaav liye
seedhi saadi si raah thi mujh tak
tum ne naahak kai ghumaav liye
dard ke qahar se ladein kab tak
ik tire roop ka alaav liye
log dariya samajh rahe hain mujhe
mujh mein sehra hai ik bahaav liye
dil ne be-rang hone se pehle
halke gehre kai rachaav liye
tujh se kehna tha kuchh p lagta hai
mar hi jaayenge jee mein chaav liye
अपना बिगड़ा हुआ बनाव लिए
जी रहे हैं वही सुभाव लिए
शाम उतरी है फिर अहाते में
जिस्म पर रौशनी के घाव लिए
सीधी सादी सी राह थी मुझ तक
तुम ने नाहक़ कई घुमाव लिए
दर्द के क़हर से लड़ें कब तक
इक तिरे रूप का अलाव लिए
लोग दरिया समझ रहे हैं मुझे
मुझ में सहरा है इक बहाव लिए
दिल ने बे-रंग होने से पहले
हल्के गहरे कई रचाव लिए
तुझ से कहना था कुछ प लगता है
मर ही जाएँगे जी में चाव लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakul Dev
our suggestion based on Bakul Dev
As you were reading Gham Shayari Shayari