baar-e-deegar ye falsafe dekhoon
zakham phir se hare-bhare dekhoon
ye baseerat ajab baseerat hai
aainon mein bhi aaine dekhoon
zaaviyon se agar najaat mile
saare manzar ghule-mile dekhoon
nazm karna hai be-hisaabi ko
lafz saare nape-tule dekhoon
aakhir aakhir jo dastaan na bane
awwal awwal vo waqie dekhoon
dooriyaan dhund ban ke bikhri hain
kuchh qareeb aa ki faasle dekhoon
ek nashsha hai khud-numaai bhi
jo ye utre to phir tujhe dekhoon
le gaya vo bachi-khuchi neenden
khwaab kaise rahe-sahe dekhoon
raat phaili hui hai meelon tak
kya charaagon ke daayere dekhoon
बार-ए-दीगर ये फ़लसफ़े देखूँ
ज़ख़्म फिर से हरे-भरे देखूँ
ये बसीरत अजब बसीरत है
आइनों में भी आइने देखूँ
ज़ावियों से अगर नजात मिले
सारे मंज़र घुले-मिले देखूँ
नज़्म करना है बे-हिसाबी को
लफ़्ज़ सारे नपे-तुले देखूँ
आख़िर आख़िर जो दास्ताँ न बने
अव्वल अव्वल वो वाक़िए देखूँ
दूरियाँ धुँद बन के बिखरी हैं
कुछ क़रीब आ कि फ़ासले देखूँ
एक नश्शा है ख़ुद-नुमाई भी
जो ये उतरे तो फिर तुझे देखूँ
ले गया वो बची-खुची नींदें
ख़्वाब कैसे रहे-सहे देखूँ
रात फैली हुई है मीलों तक
क्या चराग़ों के दाएरे देखूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakul Dev
our suggestion based on Bakul Dev
As you were reading Fantasy Shayari Shayari