jaan le le na zabt-e-aah kahi
ro liya kijeye gaah gaah kahi
ibtidaai jo ek khadsha tha
khul na jaaye usi pe raah kahi
hone waali hai ye fazaa rangeen
abr hone lage siyaah kahi
ye suhulat hai zindagi ko bahut
rabt hota rahe nibaah kahi
aur kuchh der gham nazar mein rakh
kya khabar mil hi jaaye thaah kahi
haif sar se guzar gaya paani
dhone aaye the ham gunaah kahi
जान ले ले न ज़ब्त-ए-आह कहीं
रो लिया कीजे गाह गाह कहीं
इब्तिदाई जो एक ख़दशा था
खुल न जाए उसी पे राह कहीं
होने वाली है ये फ़ज़ा रंगीन
अब्र होने लगे सियाह कहीं
ये सुहुलत है ज़िंदगी को बहुत
रब्त होता रहे निबाह कहीं
और कुछ देर ग़म नज़र में रख
क्या ख़बर मिल ही जाए थाह कहीं
हैफ़ सर से गुज़र गया पानी
धोने आए थे हम गुनाह कहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakul Dev
our suggestion based on Bakul Dev
As you were reading Udasi Shayari Shayari