baarishon mein ab ke yaad aaye bahut
abr jo barase nahin chhaaye bahut
jaane kis ke dhyaan mein dooba tha khwaab
neend ne kangan to khanakaaye bahut
phir hua yun lag gaya jee ishq mein
pehle pehle ham bhi ghabraaye bahut
manzilon par baar tha rakht-e-safar
aur ham aansu bacha laaye bahut
mujh se mera rang maange hai dhanak
rashk mein yun bhi hain ham-saaye bahut
dil jo toota saj gaya aankhon ka haat
is khandar se nikle paraaye bahut
zindagi aakhir pashemaan kar gai
ham isee mohlat pe itraaye bahut
qafile ke gham mein gham shaamil nahin
tum bakul aage nikal aaye bahut
बारिशों में अब के याद आए बहुत
अब्र जो बरसे नहीं छाए बहुत
जाने किस के ध्यान में डूबा था ख़्वाब
नींद ने कंगन तो खनकाए बहुत
फिर हुआ यूँ लग गया जी इश्क़ में
पहले पहले हम भी घबराए बहुत
मंज़िलों पर बार था रख़्त-ए-सफ़र
और हम आँसू बचा लाए बहुत
मुझ से मेरा रंग माँगे है धनक
रश्क में यूँ भी हैं हम-साए बहुत
दिल जो टूटा सज गया आँखों का हाट
इस खंडर से निकले पैराए बहुत
ज़िंदगी आख़िर पशेमाँ कर गई
हम इसी मोहलत पे इतराए बहुत
क़ाफ़िले के ग़म में ग़म शामिल नहीं
तुम 'बकुल' आगे निकल आए बहुत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakul Dev
our suggestion based on Bakul Dev
As you were reading Udasi Shayari Shayari