sama'at ke liye ik imtihaan hai
khamoshi in dinon misl-e-bayaan hai
safar apne hi bheetar kar raha hoon
mera thehraav muddat se ravaan hai
havas shaamil hai thodi si dua mein
abhi is lau mein halka sa dhuaan hai
naya ik khwaab dekhen aur royen
ab itni taab aankhon mein kahaan hai
uda deti hai apni khaak jab tab
zameen ki justuju bhi aasmaan hai
tabhi aahon ke sur uthte hain is se
hamaara soz-e-jaan hi saaz-e-jaan hai
hamesha door se dekha kiya hoon
jahaan mujh ko jawaahir ki dukaaan hai
mera kirdaar is mein ho gaya gum
tumhaari yaad bhi ik dastaan hai
mohabbat ek kashti mukhtasar si
tamannaon ka dariya be-karaan hai
main saare faasle tay kar chuka hoon
khudi jo darmiyaan thi darmiyaan hai
bakul khwaabon ke panchi aa base hain
hamaara aashiyaan ab aashiyaan hai
समाअ'त के लिए इक इम्तिहाँ है
ख़मोशी इन दिनों मिस्ल-ए-बयाँ है
सफ़र अपने ही भीतर कर रहा हूँ
मिरा ठहराव मुद्दत से रवाँ है
हवस शामिल है थोड़ी सी दुआ में
अभी इस लौ में हल्का सा धुआँ है
नया इक ख़्वाब देखें और रोएँ
अब इतनी ताब आँखों में कहाँ है
उड़ा देती है अपनी ख़ाक जब तब
ज़मीं की जुस्तुजू भी आसमाँ है
तभी आहों के सुर उठते हैं इस से
हमारा सोज़-ए-जाँ ही साज़-ए-जाँ है
हमेशा दूर से देखा किया हूँ
जहाँ मुझ को जवाहिर की दुकाँ है
मिरा किरदार इस में हो गया गुम
तुम्हारी याद भी इक दास्ताँ है
मोहब्बत एक कश्ती मुख़्तसर सी
तमन्नाओं का दरिया बे-कराँ है
मैं सारे फ़ासले तय कर चुका हूँ
ख़ुदी जो दरमियाँ थी दरमियाँ है
'बकुल' ख़्वाबों के पंछी आ बसे हैं
हमारा आशियाँ अब आशियाँ है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakul Dev
our suggestion based on Bakul Dev
As you were reading Falak Shayari Shayari