haadsaat ab ke safar mein naye dhab se aaye | हादसात अब के सफ़र में नए ढब से आए

  - Bakul Dev

haadsaat ab ke safar mein naye dhab se aaye
kashtiyaan bhi nahin doobi na kinaare aaye

ba'd muddat ye jila kis ke hunar ne bakshi
ba'd muddat mere aaine mein chehre aaye

ashk palkon ki munderon pe tamannaa dil mein
din dhale laut ke shaakhon pe parinde aaye

saare kirdaaron se jee khol ke baatein kar luun
mod kaisa mere qisse mein na jaane aaye

arsh par roz bagule se fira karte hain
dasht ki khaak ko deewane kahaan le aaye

main kisi aur taqaze se karoon zikr us ka
vo kisi aur se milne ke bahaane aaye

हादसात अब के सफ़र में नए ढब से आए
कश्तियाँ भी नहीं डूबी न किनारे आए

बअ'द मुद्दत ये जिला किस के हुनर ने बख़्शी
बअ'द मुद्दत मिरे आईने में चेहरे आए

अश्क पलकों की मुंडेरों पे तमन्ना दिल में
दिन ढले लौट के शाख़ों पे परिंदे आए

सारे किरदारों से जी खोल के बातें कर लूँ
मोड़ कैसा मिरे क़िस्से में न जाने आए

अर्श पर रोज़ बगूले से फिरा करते हैं
दश्त की ख़ाक को दीवाने कहाँ ले आए

मैं किसी और तक़ाज़े से करूँ ज़िक्र उस का
वो किसी और से मिलने के बहाने आए

  - Bakul Dev

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakul Dev

As you were reading Shayari by Bakul Dev

Similar Writers

our suggestion based on Bakul Dev

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari