tira lahza wahi talwaar jaisa tha
meri gardan mein kham har baar jaisa tha
utar jaata to ruswaai bahut hoti
ki sar ka bojh bhi dastaar jaisa tha
taraashi hain gham-e-dauraan ne taqdeeren
ye khanjar bhi kisi ouzaar jaisa tha
hasi bhi ishtihaaron si chamakti thi
vo chehra to kisi akhbaar jaisa tha
bahut rishte the sab ki qeematen tay thi
hamaare ghar mein kuchh bazaar jaisa tha
तिरा लहज़ा वही तलवार जैसा था
मिरी गर्दन में ख़म हर बार जैसा था
उतर जाता तो रुस्वाई बहुत होती
कि सर का बोझ भी दस्तार जैसा था
तराशी हैं ग़म-ए-दौराँ ने तक़दीरें
ये ख़ंजर भी किसी औज़ार जैसा था
हँसी भी इश्तिहारों सी चमकती थी
वो चेहरा तो किसी अख़बार जैसा था
बहुत रिश्ते थे सब की क़ीमतें तय थी
हमारे घर में कुछ बाज़ार जैसा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakul Dev
our suggestion based on Bakul Dev
As you were reading Ghar Shayari Shayari