chilchilaati dhoop sar par aur tanhaa aadmi | चिलचिलाती धूप सर पर और तन्हा आदमी

  - Chandrabhan Khayal

chilchilaati dhoop sar par aur tanhaa aadmi
aah ye khaamosh patthar aur tanhaa aadmi

jis tarah ik barf ke teele pe jaltee ho chitaa
ye pighlata mom sa ghar aur tanhaa aadmi

is hisaar-e-khaamoshi mein barsar-e-paikaar hain
tez aawazon ke lashkar aur tanhaa aadmi

kya usi ka naam hai raa'naai-e-bazm-e-hayaat
tang kamra sard bistar aur tanhaa aadmi

kis tarah aabaad hogi dil ki sooni kaayenaat
doobte majrooh manzar aur tanhaa aadmi

haaye un be-kaar zehnon ki ghani parchaaiyaan
uf ye sannaate ka ajgar aur tanhaa aadmi

raat ke nange badan se khwahishon ki chhed-chaad
har-ghadi anjaam ka dar aur tanhaa aadmi

चिलचिलाती धूप सर पर और तन्हा आदमी
आह ये ख़ामोश पत्थर और तन्हा आदमी

जिस तरह इक बर्फ़ के टीले पे जलती हो चिता
ये पिघलता मोम सा घर और तन्हा आदमी

इस हिसार-ए-ख़ामुशी में बरसर-ए-पैकार हैं
तेज़ आवाज़ों के लश्कर और तन्हा आदमी

क्या उसी का नाम है रा'नाई-ए-बज़्म-ए-हयात
तंग कमरा सर्द बिस्तर और तन्हा आदमी

किस तरह आबाद होगी दिल की सूनी काएनात
डूबते मजरूह मंज़र और तन्हा आदमी

हाए उन बे-कार ज़ेहनों की घनी परछाइयाँ
उफ़ ये सन्नाटे का अजगर और तन्हा आदमी

रात के नंगे बदन से ख़्वाहिशों की छेड़-छाड़
हर-घड़ी अंजाम का डर और तन्हा आदमी

  - Chandrabhan Khayal

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chandrabhan Khayal

As you were reading Shayari by Chandrabhan Khayal

Similar Writers

our suggestion based on Chandrabhan Khayal

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari