koi daana koi deewaana mila
shehar mein har shakhs begaana mila
main use pehchaan to leta magar
jab mila vo ban ke afsaana mila
neem ke patton si kadvi har khushi
dekhiye mujh ko ye nazraana mila
shor tha vo paikar-e-paikaar hai
azm us ka bhi mareezaana mila
zindagi ke naam par mujh ko khayal
ek zahreela siyah-khaana mila
कोई दाना कोई दीवाना मिला
शहर में हर शख़्स बेगाना मिला
मैं उसे पहचान तो लेता मगर
जब मिला वो बन के अफ़्साना मिला
नीम के पत्तों सी कड़वी हर ख़ुशी
देखिए मुझ को ये नज़राना मिला
शोर था वो पैकर-ए-पैकार है
अज़्म उस का भी मरीज़ाना मिला
ज़िंदगी के नाम पर मुझ को 'ख़याल'
एक ज़हरीला सियह-ख़ाना मिला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chandrabhan Khayal
our suggestion based on Chandrabhan Khayal
As you were reading Khyaal Shayari Shayari