khil uthe hain zakham phoolon ki tarah | खिल उठे हैं ज़ख़्म फूलों की तरह

  - Chhabi Saksena Sahai Saba

khil uthe hain zakham phoolon ki tarah
koi aaya hai bahaaron ki tarah

hasraton ki bad-naseebi dekhiye
bujh gaeein saari charaagon ki tarah

khwaab ki bhi siskiyaan sun leejie
toot ke bikhre hain sheeshon ki tarah

sarsari si ik nazar un ki padi
aaj ham bhi hain hazaaron ki tarah

lutf jaane ka jahaan se badh ke ho
yaad gar aaun misaalon ki tarah

ab saba kab tak karegi intizaar
us ka aana hai hawaon ki tarah

खिल उठे हैं ज़ख़्म फूलों की तरह
कोई आया है बहारों की तरह

हसरतों की बद-नसीबी देखिए
बुझ गईं सारी चराग़ों की तरह

ख़्वाब की भी सिसकियाँ सुन लीजिए
टूट के बिखरे हैं शीशों की तरह

सरसरी सी इक नज़र उन की पड़ी
आज हम भी हैं हज़ारों की तरह

लुत्फ़ जाने का जहाँ से बढ़ के हो
याद गर आऊँ मिसालों की तरह

अब 'सबा' कब तक करेगी इंतिज़ार
उस का आना है हवाओं की तरह

  - Chhabi Saksena Sahai Saba

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chhabi Saksena Sahai Saba

As you were reading Shayari by Chhabi Saksena Sahai Saba

Similar Writers

our suggestion based on Chhabi Saksena Sahai Saba

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari