jo meri chat ka rasta chaand ne dekha nahin hota | जो मेरी छत का रस्ता चाँद ने देखा नहीं होता

  - Chitransh Khare

jo meri chat ka rasta chaand ne dekha nahin hota
to shaayad chaandni le kar yahan utara nahin hota

duaaein do tumhein mashhoor ham ne kar diya warna
nazar-andaaz kar dete to ye jalwa nahin hota

abhi to aur bhi mausam pade hai mere saaye mein
main bargad ka shajar hoon muddaton boodha nahin hota

haseenon se tamanna-e-wafa kam-zarf rakhte hain
ye aisa khwaab hai jo umr-bhar poora nahin hota

bade ehsaan hain mujh par tiri ma'soom yaadon ke
main tanhaa raasto mein bhi kabhi tanhaa nahin hota

main jab jab sher ki gahraaiyon mein doob jaata hoon
siva tere mere dil mein koi chehra nahin hota

जो मेरी छत का रस्ता चाँद ने देखा नहीं होता
तो शायद चाँदनी ले कर यहाँ उतरा नहीं होता

दुआएँ दो तुम्हें मशहूर हम ने कर दिया वर्ना
नज़र-अंदाज़ कर देते तो ये जल्वा नहीं होता

अभी तो और भी मौसम पड़े है मेरे साए में
मैं बरगद का शजर हूँ मुद्दतों बूढ़ा नहीं होता

हसीनों से तमन्ना-ए-वफ़ा कम-ज़र्फ़ रखते हैं
ये ऐसा ख़्वाब है जो उम्र-भर पूरा नहीं होता

बड़े एहसान हैं मुझ पर तिरी मा'सूम यादों के
मैं तन्हा रास्तो में भी कभी तन्हा नहीं होता

मैं जब जब शेर की गहराइयों में डूब जाता हूँ
सिवा तेरे मिरे दिल में कोई चेहरा नहीं होता

  - Chitransh Khare

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chitransh Khare

As you were reading Shayari by Chitransh Khare

Similar Writers

our suggestion based on Chitransh Khare

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari