mohabbat ki gali se ham jahaan ho kar nikal aaye
ghazal kehne ke tab se khud-b-khud manzar nikal aaye
hamaare haal par koi bhi hota jee nahin paata
ghazal ne haath jab pakda to ham bach kar nikal aaye
ye sarkaari mahal bhi kis qadar kacche nikalte hai
zara baarish hui buniyaad ke patthar nikal aaye
sifaarish ke bina jab bhi chale ham hasratein le kar
hui jab shaam to mayus apne ghar nikal aaye
zara si der ham ne narm lahja kya kiya apna
hamaare dushmanon ke kaise kaise par nikal aaye
मोहब्बत की गली से हम जहाँ हो कर निकल आए
ग़ज़ल कहने के तब से ख़ुद-ब-ख़ुद मंज़र निकल आए
हमारे हाल पर कोई भी होता जी नहीं पाता
ग़ज़ल ने हाथ जब पकड़ा तो हम बच कर निकल आए
ये सरकारी महल भी किस क़दर कच्चे निकलते है
ज़रा बारिश हुई बुनियाद के पत्थर निकल आए
सिफ़ारिश के बिना जब भी चले हम हसरतें ले कर
हुई जब शाम तो मायूस अपने घर निकल आए
ज़रा सी देर हम ने नर्म लहजा क्या किया अपना
हमारे दुश्मनों के कैसे कैसे पर निकल आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chitransh Khare
our suggestion based on Chitransh Khare
As you were reading I love you Shayari Shayari