ye haadsa meri aankhon se gar nahin hota
to koi gham bhi mera hum-safar nahin hota
hawa ke khauf se lo thartharati rahti hai
bujhe charaagh ko aandhi ka dar nahin hota
qadam qadam pe yahan gham ki dhoop bikhri hai
koi safar bhi khushi ka safar nahin hota
khuda ki tarah mere dil mein gar na tu aapme
to mera dil bhi ibadat ka ghar nahin hota
kisi ko yoonhi wafaon se mat nawaaza kar
ki be-wafa pe wafa ka asar nahin hota
ये हादसा मिरी आँखों से गर नहीं होता
तो कोई ग़म भी मिरा हम-सफ़र नहीं होता
हवा के ख़ौफ़ से लो थरथराती रहती है
बुझे चराग़ को आँधी का डर नहीं होता
क़दम क़दम पे यहाँ ग़म की धूप बिखरी है
कोई सफ़र भी ख़ुशी का सफ़र नहीं होता
ख़ुदा की तरह मिरे दिल में गर न तू बसता
तो मेरा दिल भी इबादत का घर नहीं होता
किसी को यूँही वफ़ाओं से मत नवाज़ा कर
कि बे-वफ़ा पे वफ़ा का असर नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chitransh Khare
our suggestion based on Chitransh Khare
As you were reading Khuda Shayari Shayari