hamaare sabr ka ik imtihaan baaki hai
isee liye to abhi tak ye jaan baaki hai
vo nafratoin ki imarat bhi gir gai dekho
mohabbaton ka ye kaccha makaan baaki hai
mera usool hai ghazalon mein sach bayaan karna
main mar gaya to mera khaandaan baaki hai
main chaand par hoon magar mutmain nahin hoon main
mere paron mein abhi bhi udaan baaki hai
mita do jism se meri nishaaniyaan lekin
tumhaari rooh pe mera nishaan baaki hai
tumhein to sach ko ugalne ki thi badi aadat
tumhaare munh mein abhi tak zabaan baaki hai
hamaari maut ko barson guzar gaye lekin
badan ka khaak se ab tak milaan baaki hai
हमारे सब्र का इक इम्तिहान बाक़ी है
इसी लिए तो अभी तक ये जान बाक़ी है
वो नफ़रतों की इमारत भी गिर गई देखो
मोहब्बतों का ये कच्चा मकान बाक़ी है
मिरा उसूल है ग़ज़लों में सच बयाँ करना
मैं मर गया तो मिरा ख़ानदान बाक़ी है
मैं चाँद पर हूँ मगर मुतमइन नहीं हूँ मैं
मिरे परों में अभी भी उड़ान बाक़ी है
मिटा दो जिस्म से मेरी निशानियाँ लेकिन
तुम्हारी रूह पे मेरा निशान बाक़ी है
तुम्हें तो सच को उगलने की थी बड़ी आदत
तुम्हारे मुँह में अभी तक ज़बान बाक़ी है
हमारी मौत को बरसों गुज़र गए लेकिन
बदन का ख़ाक से अब तक मिलान बाक़ी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chitransh Khare
our suggestion based on Chitransh Khare
As you were reading Urdu Shayari Shayari