kaayenaat-e-aarzoo mein ham basar karne lage | काएनात-ए-आरज़ू में हम बसर करने लगे

  - Chitransh Khare

kaayenaat-e-aarzoo mein ham basar karne lage
sab bahut nafrat se kyun ham par nazar karne lage

tere har lamhe ka ham ne aaj tak rakha hisaab
ye alag hai baat khud ko be-khabar karne lage

zindagi ko alvida'a kah kar chala jaaunga main
jab meri tanhaai mujh ko dar-b-dar karne lage

mulk ki barbaadiyaan us waqt tay ho jaayengi
jab buri tahzeeb bacchon par asar karne lage

ya-khuda raah-e-wafa par rahbari karna meri
jab mujhe gumraah mera hum-safar karne lage

chhod kar us waqt ohde khud chala jaaunga main
shak jahaan koi mere eimaan par karne lage

ishq ke us mod ko sab log kahte hain junoon
dil kisi ko yaad jab shaam-o-sehar karne lage

काएनात-ए-आरज़ू में हम बसर करने लगे
सब बहुत नफ़रत से क्यूँ हम पर नज़र करने लगे

तेरे हर लम्हे का हम ने आज तक रक्खा हिसाब
ये अलग है बात ख़ुद को बे-ख़बर करने लगे

ज़िंदगी को अलविदा'अ कह कर चला जाऊँगा मैं
जब मिरी तन्हाई मुझ को दर-ब-दर करने लगे

मुल्क की बर्बादियाँ उस वक़्त तय हो जाएँगी
जब बुरी तहज़ीब बच्चों पर असर करने लगे

या-ख़ुदा राह-ए-वफ़ा पर रहबरी करना मेरी
जब मुझे गुमराह मेरा हम-सफ़र करने लगे

छोड़ कर उस वक़्त ओहदे ख़ुद चला जाऊँगा मैं
शक जहाँ कोई मिरे ईमान पर करने लगे

इश्क़ के उस मोड़ को सब लोग कहते हैं जुनूँ
दिल किसी को याद जब शाम-ओ-सहर करने लगे

  - Chitransh Khare

Nafrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chitransh Khare

As you were reading Shayari by Chitransh Khare

Similar Writers

our suggestion based on Chitransh Khare

Similar Moods

As you were reading Nafrat Shayari Shayari