log saare bhale nahin hote
haan magar sab bure nahin hote
muddaton dekh-bhaal hai laazim
ped yun hi khade nahin hote
vo patangon ka pyaar kya jaane
jin ke ghar mein diye nahin hote
ishq chhup kar koi bhale kar le
raaz un ke chhupe nahin hote
khwaab un ko haseen lagta hai
neend se jo jage nahin hote
phool samjha na hota sholoon ko
haath mere jale nahin hote
pyaar chhoota nahin agar dil ko
she'r ham ne kahe nahin hote
लोग सारे भले नहीं होते
हाँ मगर सब बुरे नहीं होते
मुद्दतों देख-भाल है लाज़िम
पेड़ यूँ ही खड़े नहीं होते
वो पतंगों का प्यार क्या जाने
जिन के घर में दिए नहीं होते
इश्क़ छुप कर कोई भले कर ले
राज़ उन के छुपे नहीं होते
ख़्वाब उन को हसीन लगता है
नींद से जो जगे नहीं होते
फूल समझा न होता शो'लों को
हाथ मेरे जले नहीं होते
प्यार छूता नहीं अगर दिल को
शे'र हम ने कहे नहीं होते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chitransh Khare
our suggestion based on Chitransh Khare
As you were reading Basant Shayari Shayari