shaahid-e-dahr ki tasveer banaane waale
apni tasveer ki jaanib bhi zara ek nazar
ai har ik zarre ki taqdeer banaane waale
apni taqdeer ke khaakon ko faraamosh na kar
teri taqdeer hai aaina-e-taqdeer jahaan
khoob ma'aloom hai tera gham-e-tanha mujh ko
tujh mein uthne ke nishaan tujh mein sambhalne ke nishaan
teri soorat mein nazar aata hai farda mujh ko
muntashir ho ke zamaane mein hua khaar-o-zaboon
ho munazzam to qavi tujh sa zamaane mein nahin
an-ginat haath tire jab bhi uthe hain mil kar
tere qadmon pe jhuki aa ke chataanon ki jabeen
khaaliq-e-naan-e-javeen tu hai ziyaan teri hai
fikr ki baat nahin saara jahaan tera hai
quwwatein tujh mein jo hain un ki khabar tujh ko nahin
jo ayaan hai vo tira hai jo hai nihaan tera hai
gham ko seene mein daba rakha hai tu ne lekin
gham badi cheez hai to us se koi kaam to le
tishnagi badh ke kahi tera gala ghont na de
may bhi mil jaayegi saaqi se magar jaam to le
शाहिद-ए-दहर की तस्वीर बनाने वाले
अपनी तस्वीर की जानिब भी ज़रा एक नज़र
ऐ हर इक ज़र्रे की तक़दीर बनाने वाले
अपनी तक़दीर के ख़ाकों को फ़रामोश न कर
तेरी तक़दीर है आईना-ए-तक़दीर जहाँ
ख़ूब मा'लूम है तेरा ग़म-ए-तन्हा मुझ को
तुझ में उठने के निशाँ तुझ में सँभलने के निशाँ
तेरी सूरत में नज़र आता है फ़र्दा मुझ को
मुंतशिर हो के ज़माने में हुआ ख़ार-अो-ज़बूँ
हो मुनज़्ज़म तो क़वी तुझ सा ज़माने में नहीं
अन-गिनत हाथ तिरे जब भी उठे हैं मिल कर
तेरे क़दमों पे झुकी आ के चटानों की जबीं
ख़ालिक़-ए-नान-ए-जवीं तू है ज़ियाँ तेरी है
फ़िक्र की बात नहीं सारा जहाँ तेरा है
क़ुव्वतें तुझ में जो हैं उन की ख़बर तुझ को नहीं
जो अयाँ है वो तिरा है जो है निहाँ तेरा है
ग़म को सीने में दबा रक्खा है तू ने लेकिन
ग़म बड़ी चीज़ है तो उस से कोई काम तो ले
तिश्नगी बढ़ के कहीं तेरा गला घोंट न दे
मय भी मिल जाएगी साक़ी से मगर जाम तो ले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daud Ghazi
our suggestion based on Daud Ghazi
As you were reading Gham Shayari Shayari