ek chaurahe pe sab log chale aate hain | एक चौराहे पे सब लोग चले आते हैं

  - Daud Ghazi

ek chaurahe pe sab log chale aate hain
ek chaurahe pe milte hain guzar jaate hain

an-ginat zaaviye afkaar ke le aate hain
in khilauno se vo azhaan ko bahaalate hain
apne kartab pe vo ithlaate hain itraate hain
aur mauhoom si taskin yoonhi paate hain

ek chaurahe pe sab log chale aate hain
ek chaurahe pe milte hain guzar jaate hain

un mein khush-kaar bhi hain un mein riya-kaar bhi hain
un mein gham-khwaar bhi hain un mein jafa-kaar bhi hain
khaar-ha-e-mehn-o-dard ke tujjaar bhi hain
aur gul-ha-e-mohabbat ke khareedaar bhi hain
sho'bda-gar bhi hain chaalaak bhi ayyaar bhi hain
aur gardeeda-e-mehnat bhi hain fankaar bhi hain
un mein behosh bhi hain un mein junoon-kaar bhi hain
un mein daana bhi hain beena bhi hain hoshiyaar bhi hain

ek chaurahe pe sab log chale aate hain
ek chaurahe pe milte hain guzar jaate hain

har musaafir ko mulaqaat ye raas aayi hai
is mulaqaat se hasti ne jila paai hai
is mulaqaat ne ik raushni failaai hai
log badhte hain to tahzeeb badha karti hai
log ladte hain to tahzeeb mita karti hai

ek chaurahe pe sab log chale aate hain
ek chaurahe pe milte hain guzar jaate hain

एक चौराहे पे सब लोग चले आते हैं
एक चौराहे पे मिलते हैं गुज़र जाते हैं

अन-गिनत ज़ाविए अफ़्कार के ले आते हैं
इन खिलौनों से वो अज़हान को बहलाते हैं
अपने कर्तब पे वो इठलाते हैं इतराते हैं
और मौहूम सी तस्कीन यूँही पाते हैं

एक चौराहे पे सब लोग चले आते हैं
एक चौराहे पे मिलते हैं गुज़र जाते हैं

उन में ख़ुश-कार भी हैं उन में रिया-कार भी हैं
उन में ग़म-ख़्वार भी हैं उन में जफ़ा-कार भी हैं
ख़ार-हा-ए-मेहन-ओ-दर्द के तुज्जार भी हैं
और गुल-हा-ए-मोहब्बत के ख़रीदार भी हैं
शो'बदा-गर भी हैं चालाक भी अय्यार भी हैं
और गर्दीदा-ए-मेहनत भी हैं फ़नकार भी हैं
उन में बेहोश भी हैं उन में जुनूँ-कार भी हैं
उन में दाना भी हैं बीना भी हैं होशियार भी हैं

एक चौराहे पे सब लोग चले आते हैं
एक चौराहे पे मिलते हैं गुज़र जाते हैं

हर मुसाफ़िर को मुलाक़ात ये रास आई है
इस मुलाक़ात से हस्ती ने जिला पाई है
इस मुलाक़ात ने इक रौशनी फैलाई है
लोग बढ़ते हैं तो तहज़ीब बढ़ा करती है
लोग लड़ते हैं तो तहज़ीब मिटा करती है

एक चौराहे पे सब लोग चले आते हैं
एक चौराहे पे मिलते हैं गुज़र जाते हैं

  - Daud Ghazi

Raushni Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daud Ghazi

As you were reading Shayari by Daud Ghazi

Similar Writers

our suggestion based on Daud Ghazi

Similar Moods

As you were reading Raushni Shayari Shayari