ho gaya ham pe jo na tha hona
zindagi tujh se kya khafa hona
kis qadar hai bura zamaane mein
aadmi ka zara bura hona
do ghadi ke liye tira milna
zindagi bhar ka hai juda hona
us ne badh kar mujhe sambhaala hai
kaam aaya shikasta-paa hona
raat kattee hai jis ki aankhon mein
poochiye us se subh ka hona
ye zamaane ki tez dhoop naseeb
aur apna barhana-pa hona
हो गया हम पे जो न था होना
ज़िंदगी तुझ से क्या ख़फ़ा होना
किस क़दर है बुरा ज़माने में
आदमी का ज़रा बुरा होना
दो घड़ी के लिए तिरा मिलना
ज़िंदगी भर का है जुदा होना
उस ने बढ़ कर मुझे सँभाला है
काम आया शिकस्ता-पा होना
रात कटती है जिस की आँखों में
पूछिए उस से सुब्ह का होना
ये ज़माने की तेज़ धूप 'नसीब'
और अपना बरहना-पा होना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daud Naseeb
our suggestion based on Daud Naseeb
As you were reading Raat Shayari Shayari