aankhon mein ashk aur na labon par hasi rahi | आँखों में अश्क और न लबों पर हँसी रही

  - Daud Naseeb

aankhon mein ashk aur na labon par hasi rahi
duniya hamaare haal ko chup dekhti rahi

barson hamaare saath ravaan zindagi rahi
aakhir ko ajnabi ki wahi ajnabi rahi

tujh ko jinhon ne sahab-e-mehfil bana diya
mehfil mein teri sirf unhin ki kami rahi

baithe to ek paikar-e-fitna bane rahe
utthe to aa ke saath qayamat khadi hui

ahl-e-junoon to is se bhi aage nikal gaye
manzil ke faaslon ko khird naapati rahi

duniya ko thokron mein rakha jis ne dosto
qadmon mein aise shakhs ke duniya padi rahi

khaamosh ham bhi sunte rahe apni dastaan
duniya baghair naam liye bolti rahi

jab se ghamon ki bheed mein ham kho gaye naseeb
us roz se khushi bhi hamein dhoondhti rahi

आँखों में अश्क और न लबों पर हँसी रही
दुनिया हमारे हाल को चुप देखती रही

बरसों हमारे साथ रवाँ ज़िंदगी रही
आख़िर को अजनबी की वही अजनबी रही

तुझ को जिन्हों ने साहब-ए-महफ़िल बना दिया
महफ़िल में तेरी सिर्फ़ उन्हीं की कमी रही

बैठे तो एक पैकर-ए-फ़ित्ना बने रहे
उट्ठे तो आ के साथ क़यामत खड़ी हुई

अहल-ए-जुनूँ तो इस से भी आगे निकल गए
मंज़िल के फ़ासलों को ख़िरद नापती रही

दुनिया को ठोकरों में रखा जिस ने दोस्तो
क़दमों में ऐसे शख़्स के दुनिया पड़ी रही

ख़ामोश हम भी सुनते रहे अपनी दास्ताँ
दुनिया बग़ैर नाम लिए बोलती रही

जब से ग़मों की भीड़ में हम खो गए 'नसीब'
उस रोज़ से ख़ुशी भी हमें ढूँढती रही

  - Daud Naseeb

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daud Naseeb

As you were reading Shayari by Daud Naseeb

Similar Writers

our suggestion based on Daud Naseeb

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari