phir uthi chashm-e-fusoon-saaz khuda khair kare | फिर उठी चश्म-ए-फ़ुसूँ-साज़ ख़ुदा ख़ैर करे

  - Daud Naseeb

phir uthi chashm-e-fusoon-saaz khuda khair kare
dil hai phir gharq-e-may-e-naaz khuda khair kare

barq chamki hai b-sad-naaz khuda khair kare
phir nasheeman ka hai aaghaaz khuda khair kare

dil ke bas mein tha chhupaaya bahut us ne lekin
dast-e-mizgaan mein hai ab raaz khuda khair kare

koi aata hai pas-e-qaafila-e-fasl-e-bahaar
phir hai zanjeer ki awaaz khuda khair kare

barq ki zad mein gulistaan to nahin hai lekin
gul se hai aag ki parvaaz khuda khair kare

dil ki dhadkan the jo kal aaj wahi deewane
ho gaye door ki awaaz khuda khair kare

jaante hain ki badalti nahin taqdeer naseeb
waqt aur mahram-o-ham-raaz khuda khair kare

फिर उठी चश्म-ए-फ़ुसूँ-साज़ ख़ुदा ख़ैर करे
दिल है फिर ग़र्क़-ए-मय-ए-नाज़ ख़ुदा ख़ैर करे

बर्क़ चमकी है ब-सद-नाज़ ख़ुदा ख़ैर करे
फिर नशेमन का है आग़ाज़ ख़ुदा ख़ैर करे

दिल के बस में था छुपाया बहुत उस ने लेकिन
दस्त-ए-मिज़्गाँ में है अब राज़ ख़ुदा ख़ैर करे

कोई आता है पस-ए-क़ाफ़िला-ए-फ़स्ल-ए-बहार
फिर है ज़ंजीर की आवाज़ ख़ुदा ख़ैर करे

बर्क़ की ज़द में गुलिस्ताँ तो नहीं है लेकिन
गुल से है आग की परवाज़ ख़ुदा ख़ैर करे

दिल की धड़कन थे जो कल आज वही दीवाने
हो गए दूर की आवाज़ ख़ुदा ख़ैर करे

जानते हैं कि बदलती नहीं तक़दीर 'नसीब'
वक़्त और महरम-ओ-हम-राज़ ख़ुदा ख़ैर करे

  - Daud Naseeb

Aag Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daud Naseeb

As you were reading Shayari by Daud Naseeb

Similar Writers

our suggestion based on Daud Naseeb

Similar Moods

As you were reading Aag Shayari Shayari