guzar nahin hai kisi ka to raasta kyun hai
jo raasta hai to mahroom-e-naqsh-e-paa kyun hai
har ek shakhs samajhta hai ajnabi phir bhi
tumhaare ghar ka pata mujh se poochta kyun hai
tumhaara shehar ujaalon ka shehar sunte the
qadam qadam pe andheron ka saamna kyun hai
wahi sehar hai wahi shab wahi hai hangaama
magar hayaat ka manzar udaas sa kyun hai
main apne waqt ki tasveer ban gaya to nahin
har aadmi mujhe is tarah dekhta kyun hai
nigaah jab tiri beenaai kho chuki apni
to zindagi tire haathon mein aaina kyun hai
kisi se mil ke bichhad jaana umr bhar ko naseeb
zara si bhool ki itni badi saza kyun hai
गुज़र नहीं है किसी का तो रास्ता क्यों है
जो रास्ता है तो महरूम-ए-नक़्श-ए-पा क्यों है
हर एक शख़्स समझता है अजनबी फिर भी
तुम्हारे घर का पता मुझ से पूछता क्यों है
तुम्हारा शहर उजालों का शहर सुनते थे
क़दम क़दम पे अँधेरों का सामना क्यों है
वही सहर है वही शब वही है हंगामा
मगर हयात का मंज़र उदास सा क्यों है
मैं अपने वक़्त की तस्वीर बन गया तो नहीं
हर आदमी मुझे इस तरह देखता क्यों है
निगाह जब तिरी बीनाई खो चुकी अपनी
तो ज़िंदगी तिरे हाथों में आइना क्यों है
किसी से मिल के बिछड़ जाना उम्र भर को 'नसीब'
ज़रा सी भूल की इतनी बड़ी सज़ा क्यों है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daud Naseeb
our suggestion based on Daud Naseeb
As you were reading Budhapa Shayari Shayari