sukoon pyaar tabassum bahaar gul shabnam | सुकून प्यार तबस्सुम बहार गुल शबनम

  - Daud Naseeb

sukoon pyaar tabassum bahaar gul shabnam
khushi mein zeest ko kya kya samajh gaye the ham

ghamon se qalb-o-nazar ka badal gaya aalam
magar mizaaj-e-tabassum na ho saka barham

ye kis ko dhoondte firte hain mere deeda-e-nam
kahaan vo log jo ab baant len hayaat ke gham

kis aaftaab-sifat shakhs ke ruke the qadam
charaagh dair-o-haram ke hain aaj tak madhham

junoon ki raah se guzra nahin koi shaayad
kisi jagah to dikhaai de koi naqsh-e-qadam

khird pahunch ke wahan aaj naaz karti hai
vo jis maqaam pe kal tak guzaar aaye ham

rah-e-wafa se guzarna muhaal ho jaata
agar naseeb na hota hamaare saath ye gham

सुकून प्यार तबस्सुम बहार गुल शबनम
ख़ुशी में ज़ीस्त को क्या क्या समझ गए थे हम

ग़मों से क़ल्ब-ओ-नज़र का बदल गया आलम
मगर मिज़ाज-ए-तबस्सुम न हो सका बरहम

ये किस को ढूँडते फिरते हैं मेरे दीदा-ए-नम
कहाँ वो लोग जो अब बाँट लें हयात के ग़म

किस आफ़्ताब-सिफ़त शख़्स के रुके थे क़दम
चराग़ दैर-ओ-हरम के हैं आज तक मद्धम

जुनूँ की राह से गुज़रा नहीं कोई शायद
किसी जगह तो दिखाई दे कोई नक़्श-ए-क़दम

ख़िरद पहुँच के वहाँ आज नाज़ करती है
वो जिस मक़ाम पे कल तक गुज़ार आए हम

रह-ए-वफ़ा से गुज़रना मुहाल हो जाता
अगर 'नसीब' न होता हमारे साथ ये ग़म

  - Daud Naseeb

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daud Naseeb

As you were reading Shayari by Daud Naseeb

Similar Writers

our suggestion based on Daud Naseeb

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari