zindagi aaj ye kis mod pe le aayi hai
bheed nazaron mein hai ehsaas mein tanhaai hai
ye alag baat ki anjaan nazar aayi hai
zeest se vaise to barson ki shanaasaai hai
jaise aata ho dabey paanv koi paas mere
is tarah dil ke dhadkane ki sada aayi hai
ye khushi aur ye gham hai ye fugaan hai ye zabt
zindagi soch le jis mein tiri achchaai hai
ek duniya ki hamaare liye bechain magar
ek vo shakhs ki khaamosh tamaashaai hai
aap shohrat ki bulandi se utar kar dekhen
aap ke qadmon se lipti hui ruswaai hai
kyun na ashaar mein ho kaif wahi mere naseeb
may jaleeli hai to saaghar mera meenaai hai
ज़िंदगी आज ये किस मोड़ पे ले आई है
भीड़ नज़रों में है एहसास में तन्हाई है
ये अलग बात कि अंजान नज़र आई है
ज़ीस्त से वैसे तो बरसों की शनासाई है
जैसे आता हो दबे पाँव कोई पास मिरे
इस तरह दिल के धड़कने की सदा आई है
ये ख़ुशी और ये ग़म है ये फ़ुग़ाँ है ये ज़ब्त
ज़िंदगी सोच ले जिस में तिरी अच्छाई है
एक दुनिया कि हमारे लिए बेचैन मगर
एक वो शख़्स कि ख़ामोश तमाशाई है
आप शोहरत की बुलंदी से उतर कर देखें
आप के क़दमों से लिपटी हुई रुस्वाई है
क्यों न अशआ'र में हो कैफ़ वही मेरे 'नसीब'
मय जलीली है तो साग़र मिरा मीनाई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Daud Naseeb
our suggestion based on Daud Naseeb
As you were reading Nigaah Shayari Shayari