na jaane kaun hai aur kis ke intizaar mein hai | न जाने कौन है और किस के इंतिज़ार में है

  - Daud Naseeb

na jaane kaun hai aur kis ke intizaar mein hai
vo ek shakhs jo barson se rahguzar mein hai

kahaan ye baat tiri fath-e-shaandaar mein hai
jo baat dost meri maslahat ki haar mein hai

jo dekhoon jaanib-e-gulshan bhi main to kya dekhoon
jo tu nahin hai to kya mausam-e-bahaar mein hai

andhere ho gaye raushan zabaan pe aate hi
vo aftaab ki taaseer zikr-e-yaar mein hai

ye tera vaham ki tu be-sukoon nahin ai dost
shareek meri tadap bhi tire qaraar mein hai

baghair naam liye bhi pukaar kar dekha
kisi ka naam barabar meri pukaar mein hai

gham-e-hayaat se raunaq hayaat ki hai naseeb
ki phool phool hai jab tak hujoom-e-khaar mein hai

न जाने कौन है और किस के इंतिज़ार में है
वो एक शख़्स जो बरसों से रहगुज़ार में है

कहाँ ये बात तिरी फ़त्ह-ए-शानदार में है
जो बात दोस्त मिरी मस्लहत की हार में है

जो देखूँ जानिब-ए-गुलशन भी मैं तो क्या देखूँ
जो तू नहीं है तो क्या मौसम-ए-बहार में है

अंधेरे हो गए रौशन ज़बाँ पे आते ही
वो आफ़्ताब की तासीर ज़िक्र-ए-यार में है

ये तेरा वहम कि तू बे-सुकूँ नहीं ऐ दोस्त
शरीक मेरी तड़प भी तिरे क़रार में है

बग़ैर नाम लिए भी पुकार कर देखा
किसी का नाम बराबर मिरी पुकार में है

ग़म-ए-हयात से रौनक़ हयात की है 'नसीब'
कि फूल फूल है जब तक हुजूम-ए-ख़ार में है

  - Daud Naseeb

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daud Naseeb

As you were reading Shayari by Daud Naseeb

Similar Writers

our suggestion based on Daud Naseeb

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari