meri tabaahiyon pe koi muskuraa diya | मेरी तबाहियों पे कोई मुस्कुरा दिया

  - Daur Afridi

meri tabaahiyon pe koi muskuraa diya
goya kisi ne kuchh to mujhe aasraa diya

saare jahaan pe mujh ko nahin dastaras magar
saare jahaan ko kis ne mera dil bana diya

ai jaan-e-jaan ki yaad tiri aa ke rah gai
jaise kisi ne naghma kahi gunguna diya

lehron ki lay pe geet tira gaav aa bhi ja
aankhon ne teri yaad mein dariya baha diya

pehli si vo hikaayat-e-shaam-o-sehr nahin
shaayad kisi ne daur tujhe kuchh bhula diya

मेरी तबाहियों पे कोई मुस्कुरा दिया
गोया किसी ने कुछ तो मुझे आसरा दिया

सारे जहाँ पे मुझ को नहीं दस्तरस मगर
सारे जहाँ को किस ने मिरा दिल बना दिया

ऐ जान-ए-जाँ कि याद तिरी आ के रह गई
जैसे किसी ने नग़्मा कहीं गुनगुना दिया

लहरों की लय पे गीत तिरा गाँव आ भी जा
आँखों ने तेरी याद में दरिया बहा दिया

पहली सी वो हिकायत-ए-शाम-ओ-सहर नहीं
शायद किसी ने 'दौर' तुझे कुछ भुला दिया

  - Daur Afridi

Dariya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Daur Afridi

As you were reading Shayari by Daur Afridi

Similar Writers

our suggestion based on Daur Afridi

Similar Moods

As you were reading Dariya Shayari Shayari