jaate hue nigaah idhar kar ke dekh lo
ham log phir kahaan hamein jee-bhar ke dekh lo
deta hai ab yahi dil-e-shoreeda mashwara
jeene se tang ho to miyaan mar ke dekh lo
rahne ka dasht mein bhi saleeqa nahin gaya
yaa bhi qareene saare mere ghar ke dekh lo
shaahaan-e-kaj-kulaah zameen-bos ho gaye
tevar magar wahi hain mere sar ke dekh lo
sajde mein do-jahaan hain ai dil hamaare saath
rutbe ye aastaan qalander ke dekh lo
जाते हुए निगाह इधर कर के देख लो
हम लोग फिर कहाँ हमें जी-भर के देख लो
देता है अब यही दिल-ए-शोरीदा मशवरा
जीने से तंग हो तो मियाँ मर के देख लो
रहने का दश्त में भी सलीक़ा नहीं गया
याँ भी क़रीने सारे मिरे घर के देख लो
शाहान-ए-कज-कुलाह ज़मीं-बोस हो गए
तेवर मगर वही हैं मिरे सर के देख लो
सज्दे में दो-जहान हैं ऐ 'दिल' हमारे साथ
रुत्बे ये आस्तान क़लंदर के देख लो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dil Ayubi
our suggestion based on Dil Ayubi
As you were reading Nigaah Shayari Shayari