kitne hue hain khoon yahan ik usool ke
aayenge ab na shehr-e-tamanna mein bhool ke
saari musaafirat ki thakan door ho gai
pesh aaye kitne pyaar se kaante babool ke
chehre hue jo gard to aaina ban gaye
kya turfah mo'jizaat the sehra ki dhool ke
kitna haseen tha jurm-e-gham-e-dil ki do-jahaan
dar pe hain aaj tak mere rang-e-qubool ke
naazaan hai zindagi meri ab un ki maut par
jo log rah gaye tiri baahon mein jhool ke
aane ko thi bas aakhiri hichki mareez ko
qurbaan jaaie tiri shaan-e-nuzool ke
ai dil ye haal ishq mein hoga khabar na thi
pachhtaaye ham to rog laga kar fuzool ke
कितने हुए हैं ख़ून यहाँ इक उसूल के
आएँगे अब न शहर-ए-तमन्ना में भूल के
सारी मुसाफ़िरत की थकन दूर हो गई
पेश आए कितने प्यार से काँटे बबूल के
चेहरे हुए जो गर्द तो आईना बन गए
क्या तुर्फ़ा मो'जिज़ात थे सहरा की धूल के
कितना हसीं था जुर्म-ए-ग़म-ए-दिल कि दो-जहाँ
दर पे हैं आज तक मिरे रंग-ए-क़ुबूल के
नाज़ाँ है ज़िंदगी मिरी अब उन की मौत पर
जो लोग रह गए तिरी बाहोँ में झूल के
आने को थी बस आख़िरी हिचकी मरीज़ को
क़ुर्बान जाइए तिरी शान-ए-नुज़ूल के
ऐ 'दिल' ये हाल इश्क़ में होगा ख़बर न थी
पछताए हम तो रोग लगा कर फ़ुज़ूल के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dil Ayubi
our suggestion based on Dil Ayubi
As you were reading Mashwara Shayari Shayari