haseen hai shehar to ujlat mein kyun guzar jaayen | हसीं है शहर तो उजलत में क्यूँ गुज़र जाएँ - Dil Ayubi

haseen hai shehar to ujlat mein kyun guzar jaayen
junoon-e-shauq use bhi nihaal kar jaayen

ye aur baat ki hum ko nazar nahin aaye
magar vo saath hi rehta hai hum jidhar jaayen

hayaat-e-ishq ka maqsood ban gai aakhir
ye aarzoo ki tira naam le ke mar jaayen

ye raah-e-ishq hai aakhir koi mazaak nahin
saubaton se jo ghabra gaye hon ghar jaayen

pahunch ke manzil-e-maqsood par hi dam lenge
ki chal pade hain to kis munh se laut kar jaayen

हसीं है शहर तो उजलत में क्यूँ गुज़र जाएँ
जुनून-ए-शौक़ उसे भी निहाल कर जाएँ

ये और बात कि हम को नज़र नहीं आए
मगर वो साथ ही रहता है हम जिधर जाएँ

हयात-ए-इश्क़ का मक़्सूद बन गई आख़िर
ये आरज़ू कि तिरा नाम ले के मर जाएँ

ये राह-ए-इश्क़ है आख़िर कोई मज़ाक़ नहीं
सऊबतों से जो घबरा गए हों घर जाएँ

पहुँच के मंज़िल-ए-मक़्सूद पर ही दम लेंगे
कि चल पड़े हैं तो किस मुँह से लौट कर जाएँ

- Dil Ayubi
0 Likes

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dil Ayubi

As you were reading Shayari by Dil Ayubi

Similar Writers

our suggestion based on Dil Ayubi

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari