ramz-aashna-e-fasl-e-baharaan koi na tha
sab muddai the chaak-garebaan koi na tha
deewane dasht mein bhi naseeb aazma chuke
waan bhi sukoon-e-qalb ka saamaan koi na tha
kya kya tire mareez ko the naaz dard par
jab bas mein chaaragar ke bhi darmaan koi na tha
shaayad ye kaayenaat thi may-khaana in dinon
jab imtiyaaz-e-gabr-o-musalmaan koi na tha
ghabra ke kis ko raah mein ai dil pukaarte
apne siva qareeb-e-rag-e-jaan koi na tha
रम्ज़-आश्ना-ए-फ़स्ल-ए-बहाराँ कोई न था
सब मुद्दई' थे चाक-गरेबाँ कोई न था
दीवाने दश्त में भी नसीब आज़मा चुके
वाँ भी सुकून-ए-क़ल्ब का सामाँ कोई न था
क्या क्या तिरे मरीज़ को थे नाज़ दर्द पर
जब बस में चारागर के भी दरमाँ कोई न था
शायद ये काएनात थी मय-ख़ाना इन दिनों
जब इम्तियाज़-ए-गब्र-ओ-मुसलमाँ कोई न था
घबरा के किस को राह में ऐ 'दिल' पुकारते
अपने सिवा क़रीब-ए-रग-ए-जाँ कोई न था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dil Ayubi
our suggestion based on Dil Ayubi
As you were reading Dil Shayari Shayari