khair se ab hai wahan aap ka beemaar ki bas | ख़ैर से अब है वहाँ आप का बीमार कि बस - Dil Ayubi

khair se ab hai wahan aap ka beemaar ki bas
is qadar der laga di mere sarkaar ki bas

ser hota hi nahin zauq-e-tamasha lekin
mujh se kahti hai meri jurat-e-deedaar ki bas

hijr ke naam pe bhi vasl ke unwaan se bhi
ishq ne itne diye hain mujhe aazaar ki bas

kis qadar thi vo nazar aaina-kirdaar na pooch
is qadar choor hua hai but-e-pindaar ki bas

na gham-e-dil ke hi bas ke na gham-e-dauraan ke
itne azaad hue tere girftaar ki bas

ख़ैर से अब है वहाँ आप का बीमार कि बस
इस क़दर देर लगा दी मिरे सरकार कि बस

सेर होता ही नहीं ज़ौक़-ए-तमाशा लेकिन
मुझ से कहती है मिरी जुरअत-ए-दीदार कि बस

हिज्र के नाम पे भी वस्ल के उन्वान से भी
इश्क़ ने इतने दिए हैं मुझे आज़ार कि बस

किस क़दर थी वो नज़र आइना-किरदार न पूछ
इस क़दर चूर हुआ है बुत-ए-पिंदार कि बस

न ग़म-ए-दिल के ही बस के न ग़म-ए-दौराँ के
इतने आज़ाद हुए तेरे गिरफ़्तार कि बस

- Dil Ayubi
0 Likes

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dil Ayubi

As you were reading Shayari by Dil Ayubi

Similar Writers

our suggestion based on Dil Ayubi

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari