dil par rakho nigaah jigar par nazar karo
maqdoor ho to zaat mein apni safar karo
hangaam-e-khair-maqdam-e-subh-e-nashaat hai
parwaana-waar shaam se raqs-e-sharar karo
zanjeer todna bhi bada kaam tha magar
furqat mein ho to zeenat-e-deewar-o-dar karo
maayus-kun hai aalam-e-imkaan abhi to kya
duniya-e-mumkinaat pe apni nazar karo
jo gham bhi de hayaat khushi se qubool ho
itna to ehtimaam gham-e-mo'tabar karo
apnon ko to nibaahne waale hazaar hain
insaan ho to dil mein adoo ke bhi ghar karo
jaata nahin ye teer kisi haal mein khata
har marhala hayaat ka ulfat se sar karo
sab loot rahe hain bar-sar-e-bazaar in dinon
kis se kahein ki qadr-e-mata-e-hunar karo
ik rahguzar manzil-e-masti hai may-kada
har rind ko khushi se shareek-e-safar karo
ai dil bahut kharab hain haalaat shehar ke
yaa jis kisi se baat karo mukhtasar karo
दिल पर रखो निगाह जिगर पर नज़र करो
मक़्दूर हो तो ज़ात में अपनी सफ़र करो
हंगाम-ए-ख़ैर-मक़्दम-ए-सुब्ह-ए-नशात है
परवाना-वार शाम से रक़्स-ए-शरर करो
ज़ंजीर तोड़ना भी बड़ा काम था मगर
फ़ुर्सत में हो तो ज़ीनत-ए-दीवार-ओ-दर करो
मायूस-कुन है आलम-ए-इम्काँ अभी तो क्या
दुनिया-ए-मुम्किनात पे अपनी नज़र करो
जो ग़म भी दे हयात ख़ुशी से क़ुबूल हो
इतना तो एहतिमाम ग़म-ए-मो'तबर करो
अपनों को तो निबाहने वाले हज़ार हैं
इंसान हो तो दिल में अदू के भी घर करो
जाता नहीं ये तीर किसी हाल में ख़ता
हर मरहला हयात का उल्फ़त से सर करो
सब लुट रहे हैं बर-सर-ए-बाज़ार इन दिनों
किस से कहें कि क़द्र-ए-मता-ए-हुनर करो
इक रहगुज़ार मंज़िल-ए-मस्ती है मय-कदा
हर रिंद को ख़ुशी से शरीक-ए-सफ़र करो
ऐ 'दिल' बहुत ख़राब हैं हालात शहर के
याँ जिस किसी से बात करो मुख़्तसर करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dil Ayubi
our suggestion based on Dil Ayubi
As you were reading Shahr Shayari Shayari