dil hai apna to gham paraaye hain | दिल है अपना तो ग़म पराए हैं - Dil Ayubi

dil hai apna to gham paraaye hain
haaye kya kya fareb khaaye hain

taar ashkon ka kis tarah toote
hum bhi ik baar muskuraaye hain

takiya tha zaad-e-raah par apna
raahzan kitne kaam aaye hain

main ye samjha tha hum-safar honge
aah kitne muheeb saaye hain

bhool baithe hoon vo kahi ai dil
aaj kyun itne yaad aaye hain

दिल है अपना तो ग़म पराए हैं
हाए क्या क्या फ़रेब खाए हैं

तार अश्कों का किस तरह टूटे
हम भी इक बार मुस्कुराए हैं

तकिया था ज़ाद-ए-राह पर अपना
राहज़न कितने काम आए हैं

मैं ये समझा था हम-सफ़र होंगे
आह कितने मुहीब साए हैं

भूल बैठे हूँ वो कहीं ऐ दिल
आज क्यूँ इतने याद आए हैं

- Dil Ayubi
0 Likes

Bekhabri Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dil Ayubi

As you were reading Shayari by Dil Ayubi

Similar Writers

our suggestion based on Dil Ayubi

Similar Moods

As you were reading Bekhabri Shayari Shayari