saare nuqoosh jis pe tire aashiyaan ke hain | सारे नुक़ूश जिस पे तिरे आशियाँ के हैं

  - Dil Ayubi

saare nuqoosh jis pe tire aashiyaan ke hain
dair-o-haram ghubaar usi kaarwaan ke hain

waadi-e-kohsaar-o-bayaabaan-o-gulistaan
ajzaa-e-rang-rang meri dastaan ke hain

har chand ku-e-yaar bahut faasle pe hai
badle hue abhi se mizaaj aasmaan ke hain

hamdam hasi uda na dil-e-daag-daag ki
tohfe diye hue ye kisi meherbaan ke hain

hon zehan ke dariche agar vaa to dekh le
parwarda sab yaqeen mere husn-e-gumaan ke hain

kya dushmanon ki kijie ai dil shikaayaten
maare hue to ham karam-e-dostaan ke hain

सारे नुक़ूश जिस पे तिरे आशियाँ के हैं
दैर-ओ-हरम ग़ुबार उसी कारवाँ के हैं

वादी-ए-कोहसार-ओ-बयाबाँ-ओ-गुलिस्ताँ
अज्ज़ा-ए-रंग-रंग मिरी दास्ताँ के हैं

हर चंद कू-ए-यार बहुत फ़ासले पे है
बदले हुए अभी से मिज़ाज आसमाँ के हैं

हमदम हँसी उड़ा न दिल-ए-दाग़-दाग़ की
तोहफ़े दिए हुए ये किसी मेहरबाँ के हैं

हों ज़ेहन के दरीचे अगर वा तो देख ले
परवरदा सब यक़ीं मिरे हुस्न-ए-गुमाँ के हैं

क्या दुश्मनों की कीजिए ऐ 'दिल' शिकायतें
मारे हुए तो हम करम-ए-दोस्ताँ के हैं

  - Dil Ayubi

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dil Ayubi

As you were reading Shayari by Dil Ayubi

Similar Writers

our suggestion based on Dil Ayubi

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari