main sirf vo nahin jo nazar aa gaya tujhe
muzda phir izn-e-baar-e-digar aa gaya tujhe
sehra mein jaan dene ke mauqe to ab bhi hain
vo kya junoon tha le ke jo ghar aa gaya tujhe
pehle kabhi to maut ko tujh se gila na tha
jeene ka aaj kaise hunar aa gaya tujhe
is daur mein ye fakhr bhi kis ko naseeb hai
chehra to aaine mein nazar aa gaya tujhe
is shehar mein to kuchh nahin ruswaai ke siva
ai dil ye ishq le ke kidhar aa gaya tujhe
मैं सिर्फ़ वो नहीं जो नज़र आ गया तुझे
मुज़्दा फिर इज़्न-ए-बार-ए-दिगर आ गया तुझे
सहरा में जान देने के मौक़े तो अब भी हैं
वो क्या जुनूँ था ले के जो घर आ गया तुझे
पहले कभी तो मौत को तुझ से गिला न था
जीने का आज कैसे हुनर आ गया तुझे
इस दौर में ये फ़ख़्र भी किस को नसीब है
चेहरा तो आईने में नज़र आ गया तुझे
इस शहर में तो कुछ नहीं रुस्वाई के सिवा
ऐ 'दिल' ये इश्क़ ले के किधर आ गया तुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dil Ayubi
our suggestion based on Dil Ayubi
As you were reading Death Shayari Shayari