yaad-shab-khair hai wahi chehra khayal mein | यादश-ब-ख़ैर है वही चेहरा ख़याल में

  - Dil Ayubi

yaad-shab-khair hai wahi chehra khayal mein
sau jannaten jawaan hain goya khayal mein

kis shaan se shareek tiri anjuman mein hain
baithe hon jaise ham kahi tanhaa khayal mein

guzra hai ishq hi mein ye aalam bhi muddaton
thi shaam zehan mein na savera khayal mein

dekha tha khwaab mein unhen naadim to kya kahein
kyun ab tak aa raha hai paseena khayal mein

allah re ye maqaam tire tishna-kaam ka
sukhe pade hain saare hi dariya khayal mein

jugnoo se yak-b-yak jo fazaa mein chamak uthe
ye kaun tha abhi abhi kya tha khayal mein

ai dil ajab vo shahr-e-sitam tha ki aaj tak
hai koi adh-khula sa dareecha khayal mein

यादश-ब-ख़ैर है वही चेहरा ख़याल में
सौ जन्नतें जवान हैं गोया ख़याल में

किस शान से शरीक तिरी अंजुमन में हैं
बैठे हों जैसे हम कहीं तन्हा ख़याल में

गुज़रा है इश्क़ ही में ये आलम भी मुद्दतों
थी शाम ज़ेहन में न सवेरा ख़याल में

देखा था ख़्वाब में उन्हें नादिम तो क्या कहें
क्यूँ अब तक आ रहा है पसीना ख़याल में

अल्लाह रे ये मक़ाम तिरे तिश्ना-काम का
सूखे पड़े हैं सारे ही दरिया ख़याल में

जुगनू से यक-ब-यक जो फ़ज़ा में चमक उठे
ये कौन था अभी अभी क्या था ख़याल में

ऐ 'दिल' अजब वो शहर-ए-सितम था कि आज तक
है कोई अध-खुला सा दरीचा ख़याल में

  - Dil Ayubi

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dil Ayubi

As you were reading Shayari by Dil Ayubi

Similar Writers

our suggestion based on Dil Ayubi

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari