saare chaman ko dasht mein tabdeel kar gaye
be-dard the jo ain jawaani mein mar gaye
malboos-e-ahl-e-hosh ka mea'ar dekh kar
deewane be-libaas darakhton se dar gaye
shaayad udaasiyon pe taras aa gaya meri
kal raat shahr-e-jaan mein farishte utar gaye
sunte hain un pe noor barsta hai aaj tak
jin vaadiyon se ho ke tire khush-nazar gaye
ham sar-fire bhi khoob the ai dil ki ishq mein
naamoos-o-nang-o-naam bhi qurbaan kar gaye
सारे चमन को दश्त में तब्दील कर गए
बे-दर्द थे जो ऐन जवानी में मर गए
मल्बूस-ए-अहल-ए-होश का मेआ'र देख कर
दीवाने बे-लिबास दरख़्तों से डर गए
शायद उदासियों पे तरस आ गया मिरी
कल रात शहर-ए-जाँ में फ़रिश्ते उतर गए
सुनते हैं उन पे नूर बरसता है आज तक
जिन वादियों से हो के तिरे ख़ुश-नज़र गए
हम सर-फिरे भी ख़ूब थे ऐ 'दिल' कि इश्क़ में
नामूस-ओ-नंग-ओ-नाम भी क़ुर्बान कर गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dil Ayubi
our suggestion based on Dil Ayubi
As you were reading Andhera Shayari Shayari