mahav kar di zehan se gham ne tiri tasveer bhi | महव कर दी ज़ेहन से ग़म ने तिरी तस्वीर भी - Dil Ayubi

mahav kar di zehan se gham ne tiri tasveer bhi
dono dushman hain meri taqdeer bhi tadbeer bhi

muskuraati hai meri aankhon mein aansu dekh kar
kis qadar be-dard hai zalim tiri tasveer bhi

kis qadar naazuk hai ehsaasaat ka aalam ki ishq
ek hi nashsha hai lekin zahar bhi ikseer bhi

in ke deewaanon ki saj-dhaj ko hiqaarat se na dekh
ishq ka zewar hain naadaan tauq bhi zanjeer bhi

ai dil us ki yaad hai goya usi ka aaina
muzda-e-jaan-bakhsh bhi chalti hui shamsheer bhi

महव कर दी ज़ेहन से ग़म ने तिरी तस्वीर भी
दोनों दुश्मन हैं मिरी तक़दीर भी तदबीर भी

मुस्कुराती है मिरी आँखों में आँसू देख कर
किस क़दर बे-दर्द है ज़ालिम तिरी तस्वीर भी

किस क़दर नाज़ुक है एहसासात का आलम कि इश्क़
एक ही नश्शा है लेकिन ज़हर भी इक्सीर भी

इन के दीवानों की सज-धज को हिक़ारत से न देख
इश्क़ का ज़ेवर हैं नादाँ तौक़ भी ज़ंजीर भी

ऐ 'दिल' उस की याद है गोया उसी का आइना
मुज़्दा-ए-जाँ-बख़्श भी चलती हुई शमशीर भी

- Dil Ayubi
0 Likes

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dil Ayubi

As you were reading Shayari by Dil Ayubi

Similar Writers

our suggestion based on Dil Ayubi

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari