ada-e-hairat-e-aaina-gar bhi rakhte hain
hamein na chhed ki ab tak nazar bhi rakhte hain
na gird-o-pesh se is darja be-niyaaz guzar
jo be-khabar se hain sab ki khabar bhi rakhte hain
kahaan gaya tiri mehfil mein zoom-e-deed-varaan
ye hausla to yahan kam-nazar bhi rakhte hain
qafas ko khol magar itna soch le sayyaad
bahut aseer tere baal-o-par bhi rakhte hain
farishta hai to taqaddus tujhe mubarak ho
ham aadmi hain to aib-o-hunar bhi rakhte hain
khushaa-naseeb ki deewane hain to ham ai dil
kamaal-e-nisbat-e-deewana-gar bhi rakhte hain
अदा-ए-हैरत-ए-आईना-गर भी रखते हैं
हमें न छेड़ कि अब तक नज़र भी रखते हैं
न गिर्द-ओ-पेश से इस दर्जा बे-नियाज़ गुज़र
जो बे-ख़बर से हैं सब की ख़बर भी रखते हैं
कहाँ गया तिरी महफ़िल में ज़ोम-ए-दीद-वराँ
ये हौसला तो यहाँ कम-नज़र भी रखते हैं
क़फ़स को खोल मगर इतना सोच ले सय्याद
बहुत असीर तेरे बाल-ओ-पर भी रखते हैं
फ़रिश्ता है तो तक़द्दुस तुझे मुबारक हो
हम आदमी हैं तो ऐब-ओ-हुनर भी रखते हैं
खुशा-नसीब कि दीवाने हैं तो हम ऐ 'दिल'
कमाल-ए-निस्बत-ए-दीवाना-गर भी रखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dil Ayubi
our suggestion based on Dil Ayubi
As you were reading Aankhein Shayari Shayari