tire khayal ke sadqe ye kya maqaam aaya | तिरे ख़याल के सदक़े ये क्या मक़ाम आया

  - Dil Ayubi

tire khayal ke sadqe ye kya maqaam aaya
kabhi hayaat kabhi maut ka payaam aaya

tira khayal mera soz-e-aarzoo-e-sehr
koi to tha shab-e-furqat jo dil ke kaam aaya

kisi umeed ka maara dikhaai deta tha
vo khush-naseeb parinda jo zer-e-daam aaya

kisi ke khat mein kahein zikr tak na tha us ka
vo ik payaam-e-khusoosi jo dil ke naam aaya

na pooch kitni hayaat-aafreen hai raah-e-wafa
suna hai dil bhi usi marhale mein kaam aaya

तिरे ख़याल के सदक़े ये क्या मक़ाम आया
कभी हयात कभी मौत का पयाम आया

तिरा ख़याल मिरा सोज़‌‌‌-ए-आरज़ू-ए-सहर
कोई तो था शब-ए-फ़ुर्क़त जो दिल के काम आया

किसी उमीद का मारा दिखाई देता था
वो ख़ुश-नसीब परिंदा जो ज़ेर-ए-दाम आया

किसी के ख़त में कहें ज़िक्र तक न था उस का
वो इक पयाम-ए-ख़ुसूसी जो दिल के नाम आया

न पूछ कितनी हयात-आफ़रीं है राह-ए-वफ़ा
सुना है 'दिल' भी उसी मरहले में काम आया

  - Dil Ayubi

Khyaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dil Ayubi

As you were reading Shayari by Dil Ayubi

Similar Writers

our suggestion based on Dil Ayubi

Similar Moods

As you were reading Khyaal Shayari Shayari