phir marhala-e-khwaab-e-baharaan se guzar ja | फिर मरहला-ए-ख़्वाब-ए-बहाराँ से गुज़र जा - Dil Ayubi

phir marhala-e-khwaab-e-baharaan se guzar ja
mausam hai suhaana to garebaan se guzar ja

sheeshe ke makaan aur nazar ke mutahammil
deewaana na ban sheher-e-nigaaraan se guzar ja

sab qatl ke asbaab bahm hain sar-e-maqtal
aise mein pas-o-pesh na kar jaan se guzar ja

phir denge wahi mashwara-e-tark-e-mohabbat
ahabaab-numa halka-e-yaaraan se guzar ja

kuch door nahin manzil-e-maqsud-e-tamanna
ik faasla-e-qurb-e-rag-e-jaan se guzar ja

ai dil inhen idraak kahaan namratiyon ka
jo kahte hain pal bhar mein biyaabaan se guzar ja

फिर मरहला-ए-ख़्वाब-ए-बहाराँ से गुज़र जा
मौसम है सुहाना तो गरेबाँ से गुज़र जा

शीशे के मकाँ और नज़र के मुतहम्मिल
दीवाना न बन शहर-ए-निगाराँ से गुज़र जा

सब क़त्ल के अस्बाब बहम हैं सर-ए-मक़्तल
ऐसे में पस-ओ-पेश न कर जाँ से गुज़र जा

फिर देंगे वही मशवरा-ए-तर्क-ए-मोहब्बत
अहबाब-नुमा हल्क़ा-ए-याराँ से गुज़र जा

कुछ दूर नहीं मंजिल-ए-मक़्सूद-ए-तमन्ना
इक फासला-ए-क़ुर्ब-ए-रग-ए-जाँ से गुज़र जा

ऐ 'दिल' इन्हें इदराक कहाँ नम्रतियों का
जो कहते हैं पल भर में बयाबाँ से गुज़र जा

- Dil Ayubi
0 Likes

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dil Ayubi

As you were reading Shayari by Dil Ayubi

Similar Writers

our suggestion based on Dil Ayubi

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari