anjum-o-mehr-e-gul-o-barg-o-saba kuchh bhi nahin
khoob dekha b-khuda gair-e-khuda kuchh bhi nahin
vahshat-o-masti-o-hairat ke siva kuchh bhi nahin
hai jise us ka pata apna pata kuchh bhi nahin
hasti-e-aalam-e-hushiyaar ho ki ho apna vujood
sab kuchh ik vahm-e-musalsal ke siva kuchh bhi nahin
ishq to zinda-e-jaaved bana deta hai
ishq ke baab mein mafhoom-e-fana kuchh bhi nahin
kab se hai kaun hai kyun hai vo kahaan hai kya hai
zaat-e-be-choon mein ye sab choon-o-chara kuchh bhi nahin
aur sab kuchh ho zamaane ko mubarak ai dil
yaa to daaman mein mohammad ke siva kuchh bhi nahin
अंजुम-ओ-मेहर-ए-गुल-ओ-बर्ग-ओ-सबा कुछ भी नहीं
ख़ूब देखा ब-ख़ुदा ग़ैर-ए-ख़ुदा कुछ भी नहीं
वहशत-ओ-मस्ती-ओ-हैरत के सिवा कुछ भी नहीं
है जिसे उस का पता अपना पता कुछ भी नहीं
हस्ती-ए-आलम-ए-हुशियार हो कि हो अपना वजूद
सब कुछ इक वहम-ए-मुसलसल के सिवा कुछ भी नहीं
इश्क़ तो ज़िंदा-ए-जावेद बना देता है
इश्क़ के बाब में मफ़्हूम-ए-फ़ना कुछ भी नहीं
कब से है कौन है क्यूँ है वो कहाँ है क्या है
ज़ात-ए-बे-चूँ में ये सब चून-ओ-चरा कुछ भी नहीं
और सब कुछ हो ज़माने को मुबारक ऐ 'दिल'
याँ तो दामन में मोहम्मद के सिवा कुछ भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dil Ayubi
our suggestion based on Dil Ayubi
As you were reading Ishq Shayari Shayari