naqd-e-dil hai ki garebaan ke har taar mein hai
hausla ab bhi bahut tere khareedaar mein hai
yaa koi shola-b-jaan aur bhi thehra hoga
kis qayamat ki tapish saaya-e-deewar mein hai
kitna milta hai mere qalb ki kaifiyyat se
ye jo hangaama tire koocha-o-baazaar mein hai
zakham ehsaas ko jo zahar haraa hi rakhe
tegh-e-aahan mein nahin baat ki talwaar mein hai
saare gulshan ko jalane ke liye kaafi hai
ek shola jo dil murgh-e-giriftaar mein hai
zaamin nashv-o-numa-e-gul-e-tar hai ai dil
dard-mandi ki khalish si jo dil-e-khaar mein hai
नक़्द-ए-दिल है कि गरेबान के हर तार में है
हौसला अब भी बहुत तेरे ख़रीदार में है
याँ कोई शो'ला-ब-जाँ और भी ठहरा होगा
किस क़यामत की तपिश साया-ए-दीवार में है
कितना मिलता है मिरे क़ल्ब की कैफ़िय्यत से
ये जो हंगामा तिरे कूचा-ओ-बाज़ार में है
ज़ख़्म एहसास को जो ज़हर हरा ही रक्खे
तेग़-ए-आहन में नहीं बात की तलवार में है
सारे गुलशन को जलाने के लिए काफ़ी है
एक शो'ला जो दिल मुर्ग़-ए-गिरफ़्तार में है
ज़ामिन नश्व-ओ-नुमा-ए-गुल-ए-तर है ऐ 'दिल'
दर्द-मंदी की ख़लिश सी जो दिल-ए-ख़ार में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dil Ayubi
our suggestion based on Dil Ayubi
As you were reading Bechaini Shayari Shayari