aap ke wa'de kisi kal se bandhe rahte hain | आप के वा'दे किसी कल से बंधे रहते हैं - Diya Jeem

aap ke wa'de kisi kal se bandhe rahte hain
chaahne waale usi pal se bandhe rahte hain

tang aa jaati hain pallu se lagi girhen bhi
kaise rishte hain jo malmal se bandhe rahte hain

subh ki shabnami palkon ko maslate hue haath
ik naye khwaab ki konpal se bandhe rahte hain

khatti meethi si koi baat labon mein le kar
munh ko dhaanpe hue aanchal se bandhe rahte hain

sirf mere hi biyaabaan pe padi os nahin
ashk daryaon ke baadal se bandhe rahte hain

shaam ki zulfen bikharna se ayaan hota hai
kitne jugnoo hain jo kaajal se bandhe rahte hain

zindagi sone ki mohlat nahin deti hai diya
khwaab ta'beer ke aanchal se bandhe rahte hain

आप के वा'दे किसी कल से बंधे रहते हैं
चाहने वाले उसी पल से बंधे रहते हैं

तंग आ जाती हैं पल्लू से लगी गिर्हें भी
कैसे रिश्ते हैं जो मलमल से बंधे रहते हैं

सुब्ह की शबनमी पलकों को मसलते हुए हाथ
इक नए ख़्वाब की कोंपल से बंधे रहते हैं

खट्टी मीठी सी कोई बात लबों में ले कर
मुँह को ढाँपे हुए आँचल से बंधे रहते हैं

सिर्फ़ मेरे ही बयाबाँ पे पड़ी ओस नहीं
अश्क दरियाओं के बादल से बंधे रहते हैं

शाम की ज़ुल्फ़ें बिखरने से अयाँ होता है
कितने जुगनू हैं जो काजल से बंधे रहते हैं

ज़िंदगी सोने की मोहलत नहीं देती है 'दिया'
ख़्वाब ता'बीर के आँचल से बंधे रहते हैं

- Diya Jeem
0 Likes

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Diya Jeem

As you were reading Shayari by Diya Jeem

Similar Writers

our suggestion based on Diya Jeem

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari