paagal-pan ki had kar doongi | पागल-पन की हद कर दूँगी

  - Dua Ali

paagal-pan ki had kar doongi
tum ko aise radd kar doongi

apna dil jab bhi main chaahoon
bad-khwaahon se bad kar doongi

aankh ki baatein jhutlaaoongi
kehna dil ka sanad kar doongi

aatish-e-ishq mein jal kar khud ko
raushan ta-b-abad kar doongi

duniya mukhalif hone se pehle
main duniya ko radd kar doongi

panjo ke bal ho ke dua main
ooncha tera qad kar doongi

पागल-पन की हद कर दूँगी
तुम को ऐसे रद्द कर दूँगी

अपना दिल जब भी मैं चाहूँ
बद-ख़्वाहों से बद कर दूँगी

आँख की बातें झुटलाऊँगी
कहना दिल का सनद कर दूँगी

आतिश-ए-इश्क़ में जल कर ख़ुद को
रौशन ता-ब-अबद कर दूँगी

दुनिया मुख़ालिफ़ होने से पहले
मैं दुनिया को रद्द कर दूँगी

पंजों के बल हो के 'दुआ' मैं
ऊँचा तेरा क़द कर दूँगी

  - Dua Ali

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dua Ali

As you were reading Shayari by Dua Ali

Similar Writers

our suggestion based on Dua Ali

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari