shehar mein aa gaye kya log biyaabaanon ke
karb mein ho gaye gum qahqahe armaanon ke
tum ne dekhe nahin jazbon ke falak-bos shajar
shab ki taarikee mein jalte hue daalaanon ke
ham se qaaim hai tire lafzon ka ye sheeraza
ham se kirdaar bane hain tire afsaano ke
kyun mujhe dukh mera auron se juda lagta hai
dukh agar hote hain sab ek se insaano ke
kaise aayegi tire jism ki khushboo mujh tak
khidkiyaan hoti na darwaaze hain zindaanon ke
ab dua kis ki umeedon ke sahaare pe jiein
tukde to dekh liye khwaab mein gul-daano ke
शहर में आ गए क्या लोग बयाबानों के
कर्ब में हो गए गुम क़हक़हे अरमानों के
तुम ने देखे नहीं जज़्बों के फ़लक-बोस शजर
शब की तारीकी में जलते हुए दालानों के
हम से क़ाएम है तिरे लफ़्ज़ों का ये शीराज़ा
हम से किरदार बने हैं तिरे अफ़्सानों के
क्यों मुझे दुख मिरा औरों से जुदा लगता है
दुख अगर होते हैं सब एक से इंसानों के
कैसे आएगी तिरे जिस्म की ख़ुशबू मुझ तक
खिड़कियाँ होती न दरवाज़े हैं ज़िंदानों के
अब 'दुआ' किस की उमीदों के सहारे पे जिएँ
टुकड़े तो देख लिए ख़्वाब में गुल-दानों के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dua Ali
our suggestion based on Dua Ali
As you were reading Raat Shayari Shayari