sochta tha zindagi se main rihaa ho jaaunga | सोचता था ज़िन्दगी से मैं रिहा हो जाऊँगा

  - Nazar Dwivedi

sochta tha zindagi se main rihaa ho jaaunga
kya khabar thi ismein ik din mubtala ho jaaunga

jeetna aasaan hoga jang tere saath mein
tujhko aadha karke kaise dogunaa ho jaaunga

dost mere lootne aayein jo mera ghar kabhi
khud b khud hat kar kinaare par khada ho jaaunga

aaj nuqta bhi nahin hoon harf ka tere magar
ek din teri ghazal ka qaafiya ho jaaunga

todakar saare taalluq baantkar hairaaniyaan
teri duniya se achaanak hi fana ho jaaunga

qaid kar lo mujhko aankhon mein kisi tasveer si
main agar baahar gaya to mas'ala ho jaaunga

hausla itna hamesha khud mein rakhta hoon nazar
main akela bhi chala to qaafila ho jaaunga

सोचता था ज़िन्दगी से मैं रिहा हो जाऊँगा
क्या ख़बर थी इसमें इक दिन मुब्तला हो जाऊँगा

जीतना आसान होगा जंग तेरे साथ में
तुझको आधा करके कैसे दोगुना हो जाऊँगा

दोस्त मेरे लूटने आएँ जो मेरा घर कभी
ख़ुद ब ख़ुद हट कर किनारे पर खड़ा हो जाऊँगा

आज नुक़्ता भी नहीं हूँ हर्फ़ का तेरे मगर
एक दिन तेरी ग़ज़ल का क़ाफ़िया हो जाऊँगा

तोड़कर सारे तअल्लुक़ बाँटकर हैरानियाँ
तेरी दुनिया से अचानक ही फ़ना हो जाऊँगा

क़ैद कर लो मुझको आँखों में किसी तस्वीर सी
मैं अगर बाहर गया तो मसअला हो जाऊँगा

हौसला इतना हमेशा ख़ुद में रखता हूँ 'नज़र'
मैं अकेला भी चला तो क़ाफ़िला हो जाऊँगा

  - Nazar Dwivedi

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nazar Dwivedi

As you were reading Shayari by Nazar Dwivedi

Similar Writers

our suggestion based on Nazar Dwivedi

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari