marhaba deeda-e-may-nosh mein aane waale
ab tire rind nahin hosh mein aa ne waale
dekh saaqi rahe khaali na tira koi suboo
jaam hain dast-e-bala-nosh mein aane waale
qatl ai zeest tiri sej pe dhoke se hue
mar gaye sab tiri aaghosh mein aane waale
jaa-b-jaa dekh ke hanste hue chehron ke mazaar
ro pade koocha-e-khaamosh mein aane waale
saal-ha-saal jinhen dasht se maanoos kiya
ab ye paanv nahin paa-posh mein aane waale
itna idraak to hai ham ko ki aasaani se
ham nahin dast-e-sitam-kosh mein aane waale
sab taraf-daar tire nikle adakaar hasan
maslahat-kosh the sab josh mein aane waale
मर्हबा दीदा-ए-मय-नोश में आने वाले
अब तिरे रिंद नहीं होश में आ ने वाले
देख साक़ी रहे ख़ाली न तिरा कोई सुबू
जाम हैं दस्त-ए-बला-नोश में आने वाले
क़त्ल ऐ ज़ीस्त तिरी सेज पे धोके से हुए
मर गए सब तिरी आग़ोश में आने वाले
जा-ब-जा देख के हँसते हुए चेहरों के मज़ार
रो पड़े कूचा-ए-ख़ामोश में आने वाले
साल-हा-साल जिन्हें दश्त से मानूस किया
अब ये पाँव नहीं पा-पोश में आने वाले
इतना इदराक तो है हम को कि आसानी से
हम नहीं दस्त-ए-सितम-कोश में आने वाले
सब तरफ़-दार तिरे निकले अदाकार 'हसन'
मस्लहत-कोश थे सब जोश में आने वाले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehtisham Hasan
our suggestion based on Ehtisham Hasan
As you were reading Maikada Shayari Shayari