yun samaaya hai ki ab sar se nikalne ka nahin | यूँ समाया है कि अब सर से निकलने का नहीं

  - Ehtisham Hasan

yun samaaya hai ki ab sar se nikalne ka nahin
main jo chaahoon bhi to ik dar se nikalne ka nahin

main ne jo khauf pirooya tha ragon mein apni
aisa baitha hai ki andar se nikalne ka nahin

baad koshish ke nateeja ye nikala main ne
zindagi main tire chakkar se nikalne ka nahin

kheench laate hain haqeeqat mein hawadis warna
aadmi khwaab ke mehwar se nikalne ka nahin

sar patkhta nahin pinjare mein parinda yoonhi
shauq-e-parwaaz kabhi par se nikalne ka nahin

ik sadak aur mera aathvaan daswaan chakkar
aur mujhe ilm hai vo ghar se nikalne ka nahin

apne andar yun chhupaaye hain sanam patthar ne
but koi tesha-e-aazar se nikalne ka nahin

gham-e-dauraan bhi hai yun jaise mera yaum-e-hisaab
main to duniya mein bhi mahshar se nikalne ka nahin

dhons deta hai ye suraj mujhe har shaam hasan
vo jo dooba to samundar se nikalne ka nahin

यूँ समाया है कि अब सर से निकलने का नहीं
मैं जो चाहूँ भी तो इक डर से निकलने का नहीं

मैं ने जो ख़ौफ़ पिरोया था रगों में अपनी
ऐसा बैठा है कि अंदर से निकलने का नहीं

बाद कोशिश के नतीजा ये निकाला मैं ने
ज़िंदगी मैं तिरे चक्कर से निकलने का नहीं

खींच लाते हैं हक़ीक़त में हवादिस वर्ना
आदमी ख़्वाब के मेहवर से निकलने का नहीं

सर पटख़ता नहीं पिंजरे में परिंदा यूँही
शौक़-ए-परवाज़ कभी पर से निकलने का नहीं

इक सड़क और मिरा आठवाँ दसवाँ चक्कर
और मुझे इल्म है वो घर से निकलने का नहीं

अपने अंदर यूँ छुपाए हैं सनम पत्थर ने
बुत कोई तेशा-ए-आज़र से निकलने का नहीं

ग़म-ए-दौराँ भी है यूँ जैसे मिरा यौम-ए-हिसाब
मैं तो दुनिया में भी महशर से निकलने का नहीं

धोंस देता है ये सूरज मुझे हर शाम 'हसन'
वो जो डूबा तो समुंदर से निकलने का नहीं

  - Ehtisham Hasan

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehtisham Hasan

As you were reading Shayari by Ehtisham Hasan

Similar Writers

our suggestion based on Ehtisham Hasan

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari